Similar Questions with Answers
Question: mem meri baby 17 month ki hi or Kuch bhi khana nhi khati
Answer: hello dear baby ko milk dena kam kariye tab baby khana shuru karegi.
@ ap baby ko different type ke food dijiye, snacks dijiye.
@ baby ko music toys, songs or kuch activity karke khilaiye. mai tv on karke apne baby ko god me lekar uske sath dance karke khilati hu.
@ agar possible ho to kuch healthy snacks bnakar baby ke sath park ya lawn, ya chhat pe jakar uska mind dusri taraf divert karke khilae.
@ baby ko mashed food or grind food khilae jise wo achhe se nigal sake.
Question: Meri beti khana ni kha rhi h..kya kru
Answer: Hello dear, baby ko family time pr food serve kijiye. And ek routine bnaiye. Usi ke according food dijiye. Agar us time pr nhi khaye to wait kijiye and fir dijiye. Kai bar baccho ke pet me kire hone ke Karan v bhuk nhi lgti. Aap Doctor se consult krke kire ki medicine v start kar sakti h.
Question: meri 6 month ki baby girl h....khane ke time wo apna muh opan ni karti...ky karu...1 ya 2 chamach ke baad too khati hi ni...wo bhi muskil se...plz bataye ky karu...
Answer: dont worry 1 2 spoon is enough for baby. use din me kai bar 1 2 krke khilae. liquid form me hi khilae